True Islam Homepage
Fatwa Section
Download Fatwa Section
Ask The Imam
Contact Us

INSTRUCTIONS:
ALHUMDUALLAH AZAWAJAL ab True Islam Website ka Fatawa Section main Search Engine ki facility bhi dadi gaye hai takah aap Hasil kar saqain apna masila aasaan tariqa ka sath.

Es ka lia yeh zarori hai kah aap ko es search engine main Search karna ka tariqa maloom ho, Kiun kah humara sab Fatawa(s) Picture ki sorat main hote hain our search engine ki facility Picture ko nahin uthate our page ki discription our page ka title hota hai our Keywords hote hain. Hum nain Page Ka titile main woh sawal likh dia hai jo sawalat fatawa main hain our un sab ko ROMAN URDU main likha gaya hai, Es main ENGLISH bhi use ki gaye hai Lakin ziadahtar Roman Urdu ka hi use hoa hai, InshAllah Azawajal jald hum sab Fatawa(s) English main bhi Website per Dalna ki koshish karain ge.
Ab Sawal es baat ka hai kah Roman Urdu tu har koi apna tariqa se likhta hai mesal ka toor per abhi jo roman urdu aap parh rahe hain es main kafi chezain asi hongey jo kah aap dusira tariqa se likhte hongey, Es ka lia hum nain koshish ki hai kah hum nain jo roman urdu likhe hai us ka asa alfaaz jis ki spell change hosaqte hai ya kafi tariqa se likh saqte hain un ko hum nain change kar ka bhi doo our teen martaba likha hai takah search karna main aasani ho.
EASY WAY: Aap Search ka doran es baat ka khayal rakhain kah es main shortcut Roman nahin hai (Fox Example: Namaz Ka Tariqa kia hai? Es ko aap es short main nahin likh saqte: Namz ka tariqa kia ha?
Esi tarah kafi our bhi es tarah ka Words hain jo kah aap apna tariqa se likhte hongey, Es ka aasaan hal Jang Newspaper walon nain jo kah PAKISTAN ka kafi Mashoor Newspaper hai unhon nain apni website per roman urdu ka lia aik Qanoon banaya hai, shayud aap main se kafi hazrat ko maloom bhi ho, woh rule hum bhi soch rahe tha kah karlain Lakin us main bhi kafi problem hai, Aik tu har koi us rule ka tahat Roman Urdu likhta nahin our shayud us ko sekhna bhi nahin chahiya ga kiun kah jo asan cheez hote hai har koi us taraf hi jata hai our hum yahi samjhte hain kah jo cheez aate hai our us se kaam chal raha hai tu wohi best hai usi se kaam hona chahiya, Khair INSHALLAH aap es Search Engine ko use karain humari koshish hogi kah es ko our ziadah bahtar banaya jaye.
Es Roman Urdu ko likhna ka aik our bhi maqsad tha kah aap Andaza karlain kah aap jo abhi Roman Urdu parh rahe hain esi tarah sab words SEARCH ENGINE main bhi use kia gaye hain.
Main Topics jasa Namaz, Zakat, Roza, Hajj, Umrah, Jayiz, Najayiz, Haram, Hilal, Bevi (Wife), Shohar (Husband), Shaks, Jhoot, galat, Qaza, Waqt yeh alfaaz tu esi tarah hain our english ka alfaaz jasa Insurance, Prayer, Dua, Islam, Allowed wagira bhi same hain. Aap es baat ko dehan main rakhe ga kah agar aap ka aik dafa Word likhna per aap ka jawab na mila ya koi bhi Searching na kare tu us ki spell check karlijia ga our thori change kar ka bhi dekh lijia ga tu aap FIND karlain ge. INSHALLAH AZAWAJAL.

ALLAH AZAWAJAL HUM SAB KO DEEN KA KAAM KARNA KI TUFEEK ATA FARMAYE (AMEEN)

Wassalam,
True Islam
www.trueislam.info
info@trueislam.info

FATAWA SECTION OF TRUE ISLAM
Click Here

SEARCH ENGINE DIRECT LINK
Click Here